Amliyat main qadam rakhnay se pehlay inasoolon per amel krna aur in ka paband hona boht zaroori hai.
*. Koi be amal karne se pehly kisi kamil ustad se ijazat lain aur harfu tahaji ke zakat zaroor dain her harf ke zakat chand ke manzil aur waqat kemutabik 4444 martbah perh kar de jati hai. 28 dino main 28 haruf ke zakat nikalin. is se amal jaldi kamyab hota haiaur rajat ke khof nahi hota
*. namaz ba jamat perhna bohatzaroore hai is ka khas khail rakhin
*. Amal ke dino main khana kam kahain, bat cheet aur logon se milna kam kar dain, tanhai ikhtyar karin, bawuzu rahin aur zada waqat ibadat main guzarin
*. jo be amal kareen to khana un cheezo ka chorde jesa ghost, machli, anda kisi janwer ka, payaz or lehsan separhez kareen in cheezo ke perhaz karna se amel main asar peda hota hai
*. Amal shuru krnay se akhir tak Waqat aur jaga ka khass khyal rakhin ye boht zaroori hai kioun ke in ko badlnay se amel ke taseer khtum ho jati hai aur amel kamyab nahi hota
*. Amel perhnay wali jaga per kisi ke amadoraft na ho aur jaga pak saff ho
*. Har amel chand ke 3 se 10 tarikh tak shuru kia jata hai behter hai in dino main ju Jumyrat ( Wednesday ) ay wo Nochandi ho ge us din se amel shuru karin
*. Roz ghusal karen khusboo zaroor lagahe khusboo be etar lagahe perfum nai kion ke us main alcohal hoti hai
*. jab amal perhny bethain to hisar karlen yeah rajat aur nuqsan se bachata hai
*. jo isam ya dua paren agar sir isam pehla haruf atishe ho toamel jaldi pora ho ga
*. jab kisi amal ki zakat de cukain tu us amal ko daily 3 , 4 ya 7 dafa roz parha kareen ta-ke amal kabo main rahe
*. jab amal start kare tu amal pora hony tak hambistare na kareen
*. Her amel ko shuru kerny se pehlay ijazat lain warna rajat ho sakti hai jis main pagal pan ya jan se jane ka khatra hai
*. amel ka ghar main se jo orate napak ho jae us ke hathke koi be cheez paki howi na kahin, apne liy khana khud banain
*. nasha karne wali cheezon shrab, sigrat, charas, afim wagyra se door rahe
*. koi be amal karen jo amal para jae us main agar kamyabi nazar na aati to us ko chore nai yani tarak na kareen ka yeah amal kam nahi kar raha
*. amel jab amal kare to bakhorate jalay her setare kaalag bakhore hoti hai bakhore mean khusboo
*. amel ko setaro ki saat deakh aur rojal gayab deakh kar amal karna chahey kioun ke ager yeah samnay ho ga to amel ko nooksan ho ga
*. amel perhtay waqat darna nahi kioun ke doran amal kuch khuf delane wala wakiyat nazar aain ge laykin ki kohi asliyat nahi ho ge, ye waqiat sirf amel ko amal se roqny ke kosish ho ge
*. amal karte waqat jo be kafiatmehsoos ho ya nazar ay wo sirf apne ustad ko batain kisi aur ko batany se amel hath se nikal jae ga aur rajat hone ka imkan hai
*. Ager in sab shrayat ke pabandi ke sath amel karin tukamyabi 100% yakini ho ge.