Monday, 9 March 2015

TAWEEZAT Ki Sharayet

 http://taweezworld.blogspot.com



AAMAL-O-NAQOOSH TAWEEZAT ISTEMAL KARNAY K LIAY MUKHTALIF AQSAM K AAMAL-O-NAQOOSH K LIAY KHAWAH LIKHA HO YA NA LIKHA HO IN SHARAYET PER ZAROOR AMAL KARNA HO GA AGAR IN PER AMAL NA KIYA GEYA TO HO SAKTA HAI K AMAL YA TAWEEZ/NAQSH APNA ASAR NA DIKHAYE AUR KAM NA HO AIK AEHAM BAT ISTEKHARAH ZAROOR KIYA JAYE IS SE PEHLEY HE AMAL K HONAY YA NA HONAY KA PATA LAG JAYE GA YAD RAKHIAY "ISTEKHARAH" KARNA SUNNAT HAI AUR IS KA SAHEE AUR KAMIL TAREEQA WOHE HAI JO HADEES SE SUNNAT SE SABIT HAI.


TAWEEZ LIKHNAY SE PEHLE TAZA(FRESH) GHUSAL KIYA JAYE WARNA WUZU HAR HAL MEI LAZIM US SOORAT MEI HO GA JAB K KISI AAYAT , ISMA-E-ELAHI ,YA SURAH SHARIF KA BAYES AMAN-O-SAKOON AUR KISI ACHAY KAM K LIAY TAWEEZ/NAQSH LIKHA JAYE GA JAB TAK AISA TAWEEZ/NAQSH MUKAMMAL NA KAR LIYA JAYE KISI SE KALAM NA KIYA JAYE JAB K HATH TAWEEZ/NAQSH LIKHNAY MEI MAGAN MEI HON AUR ZUBAN PER DUROOD-E-IBRAHEEMI  KA VIRD JARI HO, PAK NOORANI ROOHANI NAQOOSH LIKHNAY K WAQT KOI AISEE AURAT PAS NA BETHI HO JO AYYAM-E-HAIZ MEI HON IN AADAB-O-SHARAYET KA US SOORAT MEI BHI KHAYAL RAKHNA HO GA JAB KOI PAK YA NEK AMAL BHI KARNA HO GA JO AAMAL NEK NAHI HON GE UN MEI AGAR PARHEZ NA KI JAYE TO BHI THEEK HAI WAGARNA ACHAY KAM KARNAY SE ALLAH KHUSH HOTA HAI LEKIN AMALIYAT DEEN-E-ISLAM SE BAHAR HEN, IS LIAY SHARAYE TOR PER NEK-O-BAD AAMAL KARNAY AISAY HE HAIN JESE DUNIYA MEI BADI AUR ACHAYE HAI AMAL SIRF AMAL HOTA HAI AUR ISE KARNAY WALA SIRF AMIL YA US AMAL K ZARIAY KAMYAB HONAY WALA SHAKHS KHAWAH US KA TALLUQ BAD SE HO YA NEK SE AJAR SAZA-O-AZAB ALLAH HE DETA HAI IS LIAY NEHAYAT DEKH KAR KOI BHI KAM KIYA JAYE JAB K NAQOOSH UROOJ MAH KI (15) TAREEKH TAK LIKHNAY CHAHIAY KHAWAH HUB K MUTALLIQ KOI AMAL HE KEON NA HO PHIR PEHLE QALAM HATH MEI PAKRRAY AUR KAGHAZ KO DAHNI RAN (RIGHT LEG) PER RAKHAY KOI MEETHI SHAY MOUN MEI ZAROOR RAKHAY BAKHOOR HUB KA KOYELAY PER RAKHAY TA K HUB KA MUTALLIQA MOAKEL-O-JINN US KAM MEI MADAD KARY , TAVEEZ KO MUSHK ZAFRAN WA ARQ-E-GHULAB SE LIKHNA CHAHIAY AUR AGAR AMAL KARNA HO TO MEHBOOB KA PEHNA HOA KAPRRA ZAROOR HONA CHAIAY AGAR MARD AURAT SE DOSTI KARNA CHAHTA HAI TO MARD KA NAME MA WALIDAH AURAT K NAME SE PEHLE LIKHNA CHAHIAY , TAVEEZ BEEMARI YA SEHAR K LIKHAY TO APNAY AAP KO NEHAYAT DUNYAVI GHAM-O-FIKAR SE ALEHDAH RAKH KAR NAQSH LIKHA JAYE APNAY MAQSAD K ELAWAH KOI DOOSRI SOCH NAHI AANI CHAHIAY,  AGAR ADAWAT K NAQOOSH LIKHEN TO PEHLE KAGHAZ BAAYEN RAN(LEFT LEG) PER RAKHNA CHAHIAY PHIR QALAM HATH MEI LE KAR KOI TURSH YA TALKH CHEEZ MOUN MEI RAKHNI CHAHIAY AUR NAQSH KO KALI YA NEELI SEYAHEE MEI SIRKA AUR TAIL MILA KAR LIKHAY AUR HEENG KO KOYELAY PER RAKH KAR US NAQSH KO DHONI DENI CHAHIAY IS NAQSH KO ZAWAL MAH QAMRI MEI LIKHNA HO GA TAVEEZ JUDAYE YA ADAWAT KA AURAT K MANKOOHA K LIAY NA LIKHAY JAB TAK SHARYE ZAROORAT NA HO AGAR TAVEEZ ZUBAN BANDI , KHAWAB BANDI K LIKHNAY HON TO MOUN MEI KALI MIRCH RAKHAY AUR NAQSH KO SHANGRAF AUR KALI SEYAHEE SE LIKHAY ,  SIFLI AAMAL MUSALMANO KO PARRHNA BAYES-E-ZAWAL EMAN HAI IS LIAY KOSHSIH YEHE KI JANI CHAIAY K SIFLI AAMAL-O-NAQOOSH ISTEMAL NA KIAY JAYE CHUN K YEH AIK ROOHANI BLOG HAI IS MEI ALVI WA SIFLI DONO AAMAL DARJ HON GE AB KON FARD KIS AMAL KO ZEYADAH AEHMIYAT DE KAR NEKIYAN YA AZAB JAMA KARTA HAI YEH US INSAN AUR ALLAH KA MUAMILA HAI AMALIYAT-O-NAQOOSH ISTEMAL AUR UNHEN KHUD APNAY HATHON SE KARNAY WALEY IS BAT KO ZAROOR YAD RAKHEN K IS BLOG MEI SAB KUCH HE DARJ HAI LEKIN US MEI SE KHUD HE DEKHNA HO GA AUR FAISLA KARNA HO GA K KON SE AISE AAMAL KAREN JIS SE ALLAH KI ZAT ZEYADAH KHUSH HO WAGARNA BLOG MEI JIN HINDO DEVTAON AUR DEVION SE K NUSKHA JAT DARJ HEN US KI MISAL AISAY HE SAMAJH LI JAYE K JESEY AIK GHULAM KO APNAY MATEHAT RAKH KAR US SE KAM LENAY HEN NA K USE APNA AAQA BANAYA GEYA HAI JIS SE KOI MUSALMAN HINDO DEVTA KI PUJA PAT KARAY YA US KA DAM BHARAY YEH SHARAYE TOR PER NAJAYEZ HAI BAL K IN DEVTAON SE DUNYAVI KAMON KO KARWANA CHAIAY AUR SIRF KAM KARNAY KI HAD TAK UN SE TALLUQ RAKHNA CHAHIAY.




TAWEEZ AATISHI:


CHUN K KALAM ALLAH YA AAYAT YA ARABI KALAM KISI BHI SHAY KO NAHI JALAYA JATA BAL K "FALEETA JAT" JINHEN BATIYAN KEHTEY HEN JIS KA TALLUQ JADOO TONAY SE NIJAT DILWANAY KA HOTA HAI UNHEN JALA KAR MAREEZ KO DHONI DE JATI HAI LEKIN BAZ ARABI AZEEMAT AISEE ZAROOR HOTI HEN JINHEN AAG K NEECHAY DAFAN KIYA JATA HAI TA K MUTWATAR HARARAT POHANCHTI RAHEY IS K LIAY YOUN KARTAY HEN K TAWEEZ K OPER NEECHAY AIK KORI THEEKRI RAKH KAR LOHAY KI TAAR LAPET DETAY HEN TA K NAQSH KO HARARAT EHTEYAT SE POHNCHAY AUR USE AAG K NEECHAY YA CHOHLEY WAGHIRAH MEI ITNI DOOR DAFAN KARTAY HEN K HARARAT POHNCHAY MAGAR JALAY NA AATISHI TAVEEZAT KI BATTIYAN BANAYE JATI HEN UN KO CHARAGH MEI JALAYA JATA HAI SA'AD AMAL MEI ACHI CHEEZON PER LIKHTY HEN MASLAN KAGHAZ, BAKRI KA SHANA, HIRAN KI KHAL, LOH CHEENI, KORI THEEKRI, GHORRAY KI NA'AL, AUR CHARAGH MEI BHI KHUSHBOO'DAR TAIL DALTAY HEN YA GHEE SE JALATAY HEN , DUSHMAN KO SAZA YA KISI KA GHAR BARBAD KARNAY K LIAY YANI NEHAS AAMAL MEI  KUTTAY KI HADDI, GADHAY KI KHAL, RANGDAR KAGHAZ, PURANA RADDI KAPRRA GHAR SE NAHI LETAY BAHAR SE PARRA UTHATY HEN, MENDAK KA CHAMRRA AUR NAMAK WAGHIRAH LETAY HEN YEH NAQOOSH KAFOOR YA NEELY RANG AUR KALI SEYAHE SE LIKHTY HEN AUR AAG K PAS RAKHTY HEN AUR LIKHTY WAQT MOUN MEI KOI TALKH SHAY DALTAY HEN AUR MOUN MASHRIQ KI TARAF KARTAY HEN AUR AIK ZANO BETHTY HEN AUR KOYELON KO SURAKH KAR K UN K PAS BETH KAR LIKHTAY HEN TA K KOYELA KI AAG KHUD KO LAGTI RAHE AGAR AATISHI NAQOOSH KA CHILLA KAR K IN KA AMIL BHI BAN'NA HO TAB BHI KOYELAY JALA KAR PAS BETH KAR LIKHAY JATAY HEN.
 


TAWEEZ BADI:


IN NAQOOSH/TAWEEZ KA TALLUQ PHOOLON SE HOTA JIS MEI MATLOOB YA KISI NARAZ SHAKHS KO AMADAH KARNAY K LIAY PHOOLON PER MUTALLIQA AAYAT ISM-E-ELAHI YA JO KOI BHI WAZEEFA HO PARRH KAR MEHBOOB YA MUTALLIQA AFRAD KO SIRF SOONGHAYA JATA HAI YA ITTER KHUSHBOO PER DAM KAR K BHI SOONGHAYA JA SAKTA HAI JIS SE MAQSAD MEI KAMYABI HOTI HAI CHUN K IS KA TALLUQ DAM SE HO GA AUR DAM JISAM K ANDER SE NIKLI HAWA K ZARIAY HOTA HAI BAZ OQAT AGAR NAQOOSH , PHOOL, ITTER K ELAWAH KISI AUR SHAY SE KAM LENA HO TO WOH PHAL HALWA YA JO KOI BHI MEETHI SHAY HO US PER DAM KAR K MUTALLIQA FARD KO KHILYA JATA HAI JIS SE MAQSAD MEI KAMYABI HOTI HAI AGAR KOI KISI KO IN CHEEZON MEI SE NA KHILA SAKE TO KISI MEI TAQSEEM KAR DIYA KARAY TAB BHI ASAR HOTA HAI AGAR MEHBOOB YA KOI APNA AZEEZ RISHTA'DAR KAHEN DOOR CHALA GEYA HO TAB BHI WAPIS LANAY K LIAY NAQOOSH KO DARAKHT YA GHAR MEI KISI ONCHI JAGAH LATKATAY HEN JIS SE USE HAWA LAGTI HAI AUR US MEI ASAR PEDA HOTA HAI , NEHAS AAMAL AUR BADI NAQOOSH K ZARIAY DUSHMAN KO MAGHLOOB YA USE SAZA DENAY K LIAY KANTAY DAR YA KARRVAY PHAL K DARAKHT PER LATKATAY HEN AUR NAQSH KO DUSHMAN K PEHNAY HOAY KAPRRAY PER LIKHNA HOTA HAI AUR JIS DARAKHT PER YEH NAQSH LATKAYA JATA HAI YEH KEKKAR YA NEEM KA DARAKHT HONA CHAHIAY AUR AGAR HO SAKAY TO US DARAKHT K SATH US NAQSH KO LATKANAY SE PEHLAY US K ANDER CHAND KANTAY BHI DAL DE IS SE ASAR ZEYADAH HOTA HAI ,  BADI SILSILAY SE TALLUQ RAKHNAY WALY NAQOOSH BAZ TAWEEZ HATH PER BHI LIKH KAR DIKHATAY HEN JIS SE MEHBOOB MOHABAT MEI MUBTALA HOTA HAI LEKIN YEH NAQOOSH NAHI HOTAY BAL K UN KA TALLUQ TALISMAT SE HOTA HAI  BAZ HUB K AMAL MEI KUCH AAYAT YA MUTALLIQA AZEEMAT KO PARRH KAR APNAY HATHON PER DAM KAR K APNAY HE MOUN PER PHER KAR MEHBOOB K SAMNAY JAYA JATA HAI.
 



TAWEEZ KHAKI:


IN NAQOOSH/TAWEEZ KA TALLUQ ZAMEEN SE HOTA HAI JIS MEI MUKHTALIF MAQASID KI KHATIR NAQOOSH YA KOI AMAL KAR K DAFAN KIAY JATAY HEN MASLAN AGAR HUB KA KAM TO TAWEEZ/NAQSH YA KOI AMAL WAGHIRAH MEHBOOB K PEHNAY HOAY KAPRRAY PER TEHREER KAR K USEY MEHBOOB KI GUZAR'GAH MEI DAFAN KARTAY HEN ISI TARAH AGAR KOI DUSHMAN HO TO BHI USI K KAPRRAY PER KOI NEHAS AMAL KAR K USEY YA TO US KI GUZAR'GAH YA QABRISTAN MEI DAFAN KIAY JATAY HEN JIS SE DUSHMAN KA KHANA TABAH HOTA HAI BAZ AAMAL IS QISAM K BHI HOTAY HEN JESEY KOI SHAKHS KAHEN DOOR REHTA HO AUR USEY WAPIS LANA  HO TO QABRISTAN KI MATTI PER KOI AZEEMAT YA SURAH PARRH KAR DAM KAR K USEY QABRISTAN MEI DAFAN KARNAY SE MUTALLIQA MAQSAD MEI KAMYABI HASIL HOTI HAI BAZ MARTABA KISI MAFROOR KO WAPIS LANAY K LIAY KOI NAQSH YA AMAL KO ZAMEEN MEI DABATY HEN YA US K OPER KOI WAZNI PATHAR RAKH DETAY HEN JIS SE DOOR GEYA HOA SHAKHS WAPIS AA JATA HAI , WESE ASAL MEI KHAKI TAWEEZAT KA KAM SIRF NAQOOSH , AAMAL-E-NEHAS , AAMAL-E-SA'AD , YA JO KUCH BHI HO USEY ZAMEEN MEI HE DAFAN KIYA JATA HAI KHAWAH US KA TALLUQ CHORAHAY SE HE KEON NA HO TO YEH NAQOOSH YA AAMAL MAQSAD K HISAB SE LIKH KAR ZAMEEN MEI DABAYE JATAY HEN UN MEI SE BAZ AAMAL AISAY BHI HOTAY HEN K MEHBOOB YA DUSHMAN K SONAY WALI JAGAH K NEECHAY DAFNANAY SE MUTALLIQA MAQSAD MEI KAMYABI HOTI HAI US MEI BHI SAHE TAREEQAY SE YEH SAMAJH LENA CHAHIAY K KHAKI NAQOOSH YA AAMAL KO AGAR ZAMEEN MEI DAFAN KIYA JAYE TO ASAR ZAROOR WAQIA HOTA HAI YA HUB-O-BUGHAZ , DUSHMANI , ADAWAT , MOHABAT , NARAZGI DOOR KAR K UN MEI SULHA KARWANAY K LIAY AAMAL YA NAQOOSH KO UNKI GUZAR'GAH MEI DAFAN KIYA JAYE TO ASAR ZAROOR HOTA HAI IN NAQOOSH YA AAMAL KO AISE JAGAH LIKHTAY HEN JAHAN KAMRA KHALI HO HAWA'DAR HO MOUN JUNOOB KI JANIB HO AIK ZANO PER BETH KAR LIKHTAY HEN IN QAWAYED PER AMAL KARNAY SE KOI BHI NAQSH YA AMAL KHATA NAHI JATA.
 




TAWEEZ AABI:



YANI PANI KI MADAD SE KISI BHI MAQSAD MEI KAMYABI DILWANAY WALEY AAMAL YA TAWEEZ/NAQOOSH KAGHAZ PER LIKH KAR MATLOOB KO PILATAY HEN YA KISI CHEENI KI TASH'TARI PER LIKH KAR PILATAY HEN YA PANI K PEYALAY PER DAM KAR K PILATAY HEN YA NAQOOSH PANI K KINARAY DAFAN KARTAY HEN YA PANI MEI BAHAYE JATAY HEN PANI K KINARAY DAFAN KARNAY KA TAREEQA YEH HAI K MATTI KI CHOTI SE BARTAN LE KAR US MEI TAWEEZ RAKH KAR US KA MOUN MOM SE YA KISI AUR TAREEQA SE ACHI TARAH BAND KARA DETAY HEN TA K PANI ANDER NA JA SAKAY PHIR USEY PANI K ANDER YA KINARAY PER DAFAN KARTAY HEN TA K NAMI POHANCHTI RAHEY PANI MEI BAHANAY KA TAREEQA YEH HOTA HAI K BAANS KI NALI LEY KAR US K ANDER TAWEEZ/NAQSH RAKH KAR MOUN PER MOM YA KISI TAREEQAY SE DAT LAGA KAR ACHI TARAH BAND KIYA JATA HAI AUR PANI MEI BAHA DETAY HEN AUR AISEY TAVEEZAT KISI DARIYA YA KOONAYEN YA NADI MEI DALTAY HEN, AABI TAWEEZAT KISI HOZ YA DARIYA K KINARAY LIKHAY JATAY HEN YA PANI KA TASHT PAS RAKHTAY HEN MOUN SHUMAL KI TARAF RAKHTAY HEN JIS SE MUTALLIQA MAQSAD MEI KAMYABI ZAROOR MILTI HAI BAZ OQAT HUB YA DUSHMANI K MUAMILAT MEI MUKHTALIF AQSAM K NAQOOSH YA MUKHTALIF AZEEMAT KO PARRH KAR PANI PER DAM KAR K MEHBOOB YA DUSHMAN KO PILAYA JATA HAI JIS SE MAQSAD MEI KAMYABI ZAROOR MILTI HAI AGAR KOI PANI KO PILAA NA SAKAY AUR MIZAJ MEHBOOB YA DUSHMAN KA AABI HO AUR UN KO PANI PILANA NA'MUMKIN HO TO KISI NAQSH YA AMAL KO KAR K DARIYA YA NEHAR K KINARAY IS TAREEQAY SE DAFAN KARTAY HEN K UN PER SE SIRF PANI GUZARTA HAI , AGAR HUB MEI KAMYABI HASIL KARNI HO TO DARIYA YA NEHAR K KINARAY NAQSH YA AMAL KO DAFAN KIYA JAYE AUR AGAR DUSHMAN KO SAZA DENI HO YA US KA KHANA TABAH KARNA HO TO USEY APNAY GHAR K PER'NALAY JAHAN SE BARISH KA PANI GUZAR KAR NEECHAY AATA HAI WAHAN RAKHA JAYE.