Sehar/jadoo ki Haqeeqat:
Sehar/jadoo Lughat mei har aisey asar ko kehtey hen jis ka sabab zahir naa ho khawah woh sab manvi ho jesey khaas khaas kalimat ka asar, ya gher mehsoos cheezon ka ho, jesey jinnat wa sheyateen ka asar, ya mesmerism mei quwwat-e-kheyaliya ka asar, ya mehsoosat ka ho magar woh mehsoosat makhfi hon jesey maqnatees ki kashish lohey key liay jabkey maqnatees nazron sey posheedah ho ya dwaaon ka asar jabkey woh dawaayen makhfi hon, ya Najoom wa Seyyarat ka asar.
Is liay jadoo ki aqsam bohat hen magar urf-e-aam mei amooman jadoo un cheezon ko kaha jata hey jin mei jinnat wa sheyateen key amal ka dakhal ho ,ya mesmerism mei quwwat-e-kheyaliya ka asar ya kuch alfaz wa kalimat ka, keon key yeh baat aqlan bhi sabit hey aur tajurba wa mushahida sey bhi aur qadeem wa jadeed falasfa bhi is ko tasleem kartey hen key Huroof wa Kalimat mei bhi kuch taseerat hoti hen kisi khaas harf ya kalima ko kisi khaas tadad mei parhney ya likhney waghera sey khaas taseerat ka mushahida hota hey ya aise taseerat jo ksi insani baalo ya nakhuno waghera aaza ya is key istemali kaprron key saath kuch dosri cheezen shamil kar key peda ki jaati hen, jin ko urf-e-aam mei tona totka kaha jata hey aur jadoo mei shamil samjha jata hey.
Istelah Quran-o-Sunnat mei Sehar/jadoo har aisey amar-e-ajeeb ko kaha jata hey jin mei sheyateen ko khush kar key un ki madad hasil ki gaye ho phir sheyateen ko razi karney ki mukhtalif suraten hen kabhi aisey mantar ikhteyar kiay jatey hen jin mei kufar-o-shirk key kalimat hon aur sheyateen ki maddah ki gayee ho, ya kawakib wa najoom ki ebadat ikhteyar ki gayee ho jis sey shetan khush hota hey.
kabhi aisey aamal ikhteyar kiay jatey hen jo shetan ko pasand hotey hen is liay Sehar/jadoo sirf aisey hi logo ka kamyab hota hey jo ganday aur na'pak rahen, paki aur Allah key naam sey door rahen khabees kamo key aadi hon aurten(females) bhi yeh kam ayyam-e-haiz mei karti hen to moassar hota hey baqi shobday aur totkay ya hath chalaki key kam ya mesmerism waghera inko majazan Jadoo keh diya jata hey.
(Rooh-al-ma'ani)
Sehar/Jadoo key aqsaam:
Imam Raghib Asfahani R.H Mufradat-al-Quran mei likhtey hen key Jadoo ki mukhtalif qismen hen,
Aik qisam mehaz nazar bandi aur takhayyul hoti hey jis ki koi haqeeqat waqiya nahi jesey shoabda baz apni hath chalaki sey aisey kam kar letey hen key aam logon ki nazren is ko dekhney sey qasir rehti hen ya quwwat-e-kheyaliya mesmerism waghera key zariay kisi key demagh per aisa asar dala jaaye key woh aik cheez ko aankhon sey dekhta aur mehsoos karta hey magar us ki koi haqeeqat waqiya nahi hoti kabhi yeh kam sheyateen key asar sey bhi ho sakta hey key mashoor ki aankhon aur demagh per aisa asar dala jaaye jis sey woh aik gher waqayee cheez ko haqeeqat samajhney lagey, Quran majeed mei firaooni sahiron key jis Jadoo ka zikr hey woh isi qisam ka jadoo tha is mei takhayyul key lafz sey yeh bataya geya hey key yeh rassiyan aur lathiyan jo sahiron ney daali thi na dar'haqeeqat sanp bani aur na hi unhon ney koi harkat ki balkey hazrat mosa a.s ki quwwat-e-kheyaliya mutassir ho kar inko dorrney waley sanp samajhney lagi.
Dosri qisam Jadoo is tarah ki takhayyul aur nazar'bandi hey jo baz oqat sheyateen key asar sey hoti hey jo Quran kareem key is irshad sey maloom hoyee "mei tumhen batata hon kin logon per shetan utartey hen har bohtan bandhney waley gunah'gar per utartey hen" aik aur jagah irshad frmaya "yani sheyateen ney kufar ikhteyar kiya, Logon ko Jadoo sekhaney lagey"
Teesri qisam Jadoo yeh hey key sehar/jadoo key zariay aik shay ki haqeeqat hi badal jaaye jese kisi insan ya jandar ko pathar ya koi janwar bana den, Imam Raghib asfahani, abu'bakar hassas waghera hazrat ney is sey inkar kiya hey key Jadoo key zariay kisi cheez ki haqeeqat badal jaaye balkey sehar/jadoo ka asar sirf takhayyul aur nazar'bandi tak hi ho sakta hey Moatazilla ka bhi yehe qoal hey magar jamhoor ulama ki tahqeeq yeh hey key inqalab-e-ayyan mei na koi aqli imtenaa hey na sharayee, maslan koi jisam pathar ban jaaye ya aik nooa sey dosri nooa mei munqalib ho jaaye khulasa yeh hey Jadoo ki yeh teeno qismen mumkin-al-waqoo hen.
Jadoo ka asar:
kiya anbiya a.s per bhi Jadoo ka asar ho sakta hey ? jawab yeh hey key ho sakta hey wajah yeh key jadoo dar'haqeeqat asbab-e-tabiya ka hi asar hota hey aur anbiya a.s asbab-e-tabiya key asrat sey mutassir hotey hen ya tassur shan-e-nabuwwat key khilaf nahi jesey inka bhook peyas sey mutassir hona, bemari mei mubtila hona aur shifa pana zahiri asbab sey sab jantey hen isi tarah jadoo key batini asbab sey bhi anbiya a.s mutassir ho saktey hen aur yeh tassur shan-e-nabuwwat key manafi nahi.
Rasool Allah s.a.w per yahudiyon ka Jadoo karna aur uski wajah sey aap per baz asrat ka zahir hona aur bazariya wahi us jadoo ka pata chalna aur uska azala karna ahadees-e-saheeha mei sabit hey aur hazrat mosa a.s ka jadoo sey mutassir hona khud Quran mei mojud hey.
(ma'arif-al-Quran, Hazrat Mufti Shafi sahab r.h)
Jadoo Key Aehkam:
Behar'hal agar koi musalman yeh kheyal karey key aaj dunya taraqqi kar chuki hey aur ilm , science ki tehqeeq yeh hey key Bhoot,Preet Jadoo Tona ki koi haqeeqat nahi to yaqeenan uski yeh fikr aur nazriya Kheyal Quran-o-Hadees aur islami fikr key khilaf honey ki wajah sey Batil aur bey'bunyad hey, aur wazeh rahey key sehar jadoo tona mehaz tohham prasti nahi balkey aik haqeeqat hey jo islam mei isi tarah haram hey jesey chori,sharab,zina waghera to kya koi inkey islam mei mamnoo honey ki wajah sey inki haqeeqat ka inkar kar sakta hey?
jadoo key ahkam mei fuqah-e-ummat ka shuroo sey ekhtelaf chala aa raha hey key aaya mutlaq sehar/jadoo yani iska seekhna bhi haram hey ya mehaz is per amal, shuroo sey qoal dono qisam key miltey hen baz ney tallum ko bilkul jaayez rakha hey aur sirf amal ko haram qarar diya hey aur baz ney nafs-e-tallum ko bhi.
Mufassir Thanvi r.h ki tehqeeq bhi is moqa per qabil-e-qadar hey "Sehar/Jadoo key Fisq ya kufar waghera honey mei tafseel yeh hey agar is mei kalimat-e-kufriya hon misal istea'anat sheyateen wa kawakib waghera tab to kufar hey khwah is sey kisi ko nuqsan pohnchaya jaaye ya nafa aur agar kalimat mubah hon to agar kisi ko khilaf-e-Izn sharayee ksi qisam ka nuqsan pohnchaya jaaye ya kisi aur gharz na'jaayez mei istemal kiya jaaye to woh Fisq wa massiyat hey , aur agar nuqsan na pohnchaya jaaye aur na kisi gharz na'jaayez mei istemal kiya jaaye to isey urf-e-aam mei sehar/jadoo nahi kehtey balkey Amal , Azeemat ya Taweez ganda kehtey hen aur woh mubah hey, aur agar kalimat mafhoom na hon to bar'waja ahtemal-e-kufar honey key wajib-ul-ahteraz hey aur kufar amali ka ittelaq har na'jaayez per saheeh hey".