Tuesday 24 March 2015

Difference Between Hamzad & Jinnat




IS post ko ghour sey parrhiay ga aaj aap ko apni zindgi ka nichorr aur asal haqayeq bataney jaa rahey hen ummeed hey aap bhi hamarey ilm sey faayedah uthaayen gey.

hamzad ka taulaq insani Jisam me Dill kay sath hota hi or hamzad ke apni takhleeq Aag se hi or ye Aag muraaqab hi jabk jinnat ka jism be Aag se hi laikin wo Aag mufrad hi or hamzad ke takhleeq chonk muraqab Aag hi isi liye jinnat se kahyn zaida powerful hi or yahi waja hi ke jinnat insani hamzad se intahi khoof zada rehtay hyn.

 Jo log kehtay hain k hamzad soya hota hio or os ko mashqoon k zariye jagana perta hi is qisam k loog jhot boltay hain bakwas kartay hain aisa kehna on ke kam ilmi or jhahalat ka saboot hi hamzad 24 ghayntay jeeti jagti makhlooq hi sota insan hi hamzad nahi ye har waqat insan kaysath hosh o hawas me rehta hi insan jab so jata hi hamzad tab be jagta rehta hi.

ab muraqab or mufrad Aag ka sawal hai, Aag ke bay shamar aqsam hain Aag ke takhleeq Noor say hi or Aag Noor ke maday-e-lateef ke shakal hi jabk khak Noor ke maday-e-kaseef ke shakal hi jala dayne wali Aag or na jalanay wali Aag ka darmiyan faraq on ke frequency hi jis tara 10 se 20 hazar cycle per second wali bijli insan ko jala daytee hi jabk 40 se 60 hazar cycle per second wali bijli insan ke andar se guzar jati hi or insan ko mehsoos taq nahi hota isi tara muraqab Aag noor ke 2 tarfa salahiyat ke hamil hoti hi or mufrad Aag noor ke yaq taq salahiyat ke hamil hoti hi or noor ke dohery salahiyat muraqab or yaq tarfa salahiyat mufrad kehlaty hi isilye muraqab mufrad se kaheen zaida power ful hoti hi me ikhtasar se kam le raha hoon jabk haqeeqat kaheen balatar hi.


Aag ke bay shamar darajat hain me ne to sirf hamzad ke hawalay se 2 ka zikar kia hi jinnat or hamzad jis Aag ke takhleeq hi wo Aag thandi Aag hi qk jinnat me mard or awrat hotay hayn jo Aag ke takhleeq hain insani mard awrat khak ke takhleeq hain jinno or insano me shadyan be hoti hayn aik doseray ke sath jinsi taulaqat be qaim kartay hain to is milap se insan jal q nahi jata dosto insan or jinnat ke madee ajsam spiritual Aura ya nasma-e-rohani ke qaid me hote hayn jo jinno or insano ke hafazati shield be hi insan maday-e-kaseef hi or Aag made-e- lateef hi or rooh ke latafat maday se pak hi jo Allaha Tala ke juzwe lateef hi or har 2 ajsam maday-e- lateef or kaseef ke hayat rooh juzwe lateef ke marhonay minat hi jo amray rabi hi jis ka zikar quran me hi jinnat insan k jism me nahi balkay nasmay me dakhil ho jatay hain ya insani nasmay ko touch kar k guzar jatay hain jab nasma disturb hota hi to os ka asar insan ke madee jism per perta hi jis se tabeyat ka kharab hona ya bokhar ka ho jana.

yaqeeni baat hi hamzad or jinnat jis Aag ke takhleeq hi wo aise frequency ke Aag jo Aag ho kar be jalati nahi jis ke misal ye hi ke 40 se 60 hazar frequency wali bijli insan ke andar se guzar jai to insan ko mehsoos taq nahi hota jabk is se kum frequency wali bijli insan ko jala kar rakh kar daytee hi.

Yahan per baaz Amil loogon ka Ilm daikh kar on ke la ilmi ka andaza hota hi ikhtalafat apni jaga per ilm amanat hi is ko share karna be abadat hi jabk aksar loog bukhal or kum zarafi se kam laytee hayn.logoon ke aksariyat ko  ye kehtay suna hi ke insan mar jata hi to Rooh almay barzakh me chali jati hai jo sarasar lailmi or ghalat hi
insan zinda ho ya murda doono sortoon me Rooh Almay barzakh me hi hoti hi faraq ye hi ke madee zindagi me almay barzakh me hotay howay Rooh ka taulaq zahir ke sath rehta hi jabk madee zingi ke khatmay ke baad Rooh ka taulaq  zahir se toot kar sirf batin ke had taq mehdood reh jata hi jabk Rooh har sorat me almay barzakh me hi rehti hi.


Hamzad ke taskheer goya k zahir or batin ke taskheer hoti hi mout ke baad wali ya almay barzakh wali zindgi be insan zahri hayat me daikh layta hi.
Dosto Hamzad bohat interesting or complicated subject hi jo Allaha Taala ke Azeem takhleeq hi jis ke haqeeqat kum log he jantay hyn ye aik intahi taqatwar makhlooq hi qk is ka taulaq bayak waqat qainat ke zahir or batin ke sath hi or ye fazeelat kisi dosery makhlooq ko hasil nahi. Allah Taala ne is hasti ko markazi hayseyat Ata kar rakhi hi or yahi asal insan hi jis se baad almout hisab kitab liya jata hi. Allah Taala quran me nafas ke 4 darjat bayan kartay howay farmata hi ke,

1 - apnay Nafas per zulam mat karo.
2 - har Nafas mout ka zaiqa chakhay ga.
3 - apnay nafas ke islaha karo
4 - hum ne sari makhlooq ko aik nafas se paida kia hi.
5 - har nafas hamaray samnay jawab de hi.

Farishtoon me Rooh hi jaan nahi janwaroon me Rooh nahi jaan hi jabk insan me Rooh or jaan dono qayam pazeer hayn. 
Rooh ko Allah Taala ne do ajsam mada e lateef hamzad or mada e kaseef khaki ke sorat me Ata kar rakhay hayn baad almout Rooh amray Rabi madee jism khak se apna Noor samayt kar jismay lateef ke had taq mehdood kar laytee hi "nafas Amara" ke shakal me ye ablees or shayateen se kahyn zaida taqatwar hi or "nafas mutmaeena" ke shakal me ye fareshtoon se zaida Afzal hi sifli amal karnay ke sorat me hamzad ka zahoor amara ke shakal me hota hi jis se duniya to shaid ban jati hi laikin insan ka deen or akhrat tabah ho jati hi jabk hamzad ke taskheer ke qurani or noori amal se deen duniya or akhrat sanwar jati hi taskheer hamzad lailmi ke soorat me goya mout se khaylna hi.


isi lye hamzad ke haqeeqat ka zaida se zaida ilm hona ashad zaroori hi. taskheer hamzad kaylye dill ka mazboot hona intahi zaroori hi chonk hamzad ka taulaq Dill se hota hi hamzad dorany amal shadeed khoof tari karta hi jis se dill ke dharkan barh jati hi blood pressure barh jata hi jis se mout waqeye ho sakti hi dill or hamzad ka taulaq tootna he mout kehlata hi. chonk insan ka nasma muraqab or jinnat ka mufrad hi nafas ke sath jihad abadat ya riyazat ka ho har soorat me mehnat talab hi or isi mehnat kay baad jab insani nasma muraqab se mufrad banta hi to hamzad nazar ata hi goya taskheer hamzad insani nasmay ka muraqab se mufrad honay ka nateeja hota hi ab ap khud
faysala karyn ke ye kam kitni mehnat ka taqaza karta hi or yahi asal jihad bilnafas ta taskheeray hamzad hi.