Tuesday 24 March 2015

Taskheer Hamzad




What is Hamzad:

Amil Hazrat aksar is ka zikr kartey hen amil log kabhi kabhi insan key Hamzad ko hazir karney aur is sey maloomat hasil karney ka dawa krtey rehtey hen, Hamzad ki haqeeqat ko jananay key liay H.Abdullah bn masood R.a ki is hadees ko zaroor mad-e-nazar rakhna chahiay jis mei Huzoor Nabi kreem (salallaho alehe wa sallam) ney frmaya key "Tum mei koi bhi aisa nahi hey jis key sath ALLAH Pak ney aik sathi jinn aur aik sathi farishta mamoor na kiya ho, Sahaba kiram ney arz ki Ya Rasool Allah aur aap key sath...? aap ney frmaya merey sath bhi lekin Allah ney is per mujhey ghalib frmaya hey lehaza woh mujhe sirf kher ka hukm deta hey" H.Abbas aur H.Ayesha r.a ki rawayat mei itna aur izafa hey key woh musalman ho geya.
Is Hadees ki roshni mei yeh bat bohat achi tarah sey wazeh ho jati hey key Hamzad sey murad insan ka sathi jinn hi hota hey jo shar ki taraf maayel krta hey aur kher ki taraf bulaney wala sathi frishta hota hey, asal haqeeqat sirf itni hi hey is key alawah logo mei mashoor qisse aur kahaniyan ki koi haqeeqat nahi hey.


Difference Between Hamzad & Jinnat:

Hamzad ka taulaq insani Jisam me Dill kay sath hota hi or hamzad ke apni takhleeq Aag se hi or ye Aag muraaqab hi jabk jinnat ka jism be Aag se hi laikin wo Aag mufrad hi or hamzad ke takhleeq chonk muraqab Aag hi isi liye jinnat se kahyn zaida powerful hi or yahi waja hi ke jinnat insani hamzad se intahi khoof zada rehtay hyn.mazeed info key liay in links per click karen.

Difference Between Hamzad & Jinnat



Amliyat Hamzad:

Jo log kehtay hain k hamzad soya hota hio or os ko mashqoon k zariye jagana perta hi is qisam k loog jhot boltay hain bakwas kartay hain aisa kehna on ke kam ilmi or jhahalat ka saboot hi hamzad 24 ghayntay jeeti jagti makhlooq hi sota insan hi hamzad nahi ye har waqat insan kaysath hosh o hawas me rehta hi insan jab so jata hi hamzad tab be jagta rehta hi.
Amliyat Hamzad key is page per aap ko asal aur mukammal ilm key sath ustad e kamil ki ijazat key sath amal milen gey aur yaqeeni 100% kamyabi ho ge.