Thursday 12 March 2015

Wazifa for Rizq



Rizq main izafa aur barkat ke liy ye amel bohat muhrab aur pur taseer hai. is amel se rizq main izafa ho ga aur gaib se rozi ke asbab paida hon ge. Ye amel ap ko khary ho ker perhna ho ga ager koi shaks  ye amel khary ho ker na perh sake ty byth ker be perh sakta hai. tilawat ke liy ap koi be waqat mukarar kar saktay hain laykhin sone se pehlay Esha ke namaz ka waqat behtar hai. Ye amel 3 hafton ka hai. Is doran ap ka maksad pora ho ga.

Amel Nochandi Itwar Sunday ( Chand nazar aane ke 3 tarkih ke bad ju Saturday ke raat ay wo Nochandi Itwar  ho ge ) se amel ko shuru karin, Perhne ka waqat aur jagah aik ho. Ager batai gai tadad main fark aa jay tu amel dobara shuru karin. Awal akhir 11 bar Durood Shareef parhain. Ye aik Haftay ka amel howa Itwar se dobar amel is mikdar main parhna hai.


Sunday Itwar ke Din ( 502 Bar ) Ameen ( 100 Bar )

Monday Somwar ke Din ( 556 Bar ) Ameen ( 100 Bar )

Tuesday Mangal ke Din ( 211 Bar ) Ameen ( 100 Bar )


Wednesday Budh ke Din ( 836 Bar ) Ameen ( 100 Bar )

Thursday  Jumyrat ke Din ( 1040 Bar ) Ameen ( 100 Bar )


Friday Jumah ke Din ( 1100 Bar ) Ameen ( 100 Bar )


Saturday Hafta ke Din ( 4070 Bar ) Ameen ( 100 Bar )




Wazaif for Rizq 2



Rizq main izafa aur barkat ke liy ye amel bohat be muhrab aur pur taseer hai. is amel se rizq main barkat ho ge aur gaib se rozi ke asbab paida hon ge. Ye amel Saturday ( Hafta ) se shuru karin aur namaz Esha ke bad makhsoos tadad main perhtay rahin. Perhne ka waqat aur jagah aik ho. Awal akhir 11 bar Durood Shareef parhain.

Saturday Hafta ke Din 818 Bar, Surah Ya-Sin Ayat no 58




Sunday Itwar ke Din 627 Bar, Surah As-Saffat Ayat no 79 

Monday Somwar ke Din 500 Bar, Surah As-Saffat Ayat no 109

Tuesday Mangal ke Din 625 Bar, Surah As-Saffat Ayat no 120

Wednesday Budh ke Din 403 Bar, Surah As-Saffat Ayat no 130 

Thursday Jumyrat ke Din 662 Bar, Surah As-Saffat Ayat no 181

Friday Juma ke Din 1027 Bar, Surah Al-Qadr Ayat no 05





Husool-e-Barkat ka Wazifa



Ye ayat gar aur karobar main khayr-o-barkat ke liy bohat asar rakhti hain aur jab karaz ada karne ka koi zariya nai ban raha ho tu in ayat ko roz 41 bar tak perhne se karaz ada hone ke asbab paida ho jain ge.

Ju shaks in ayat ko roz fajar ke namaz ke bad perhy ga us ke rizq main izafa ho ga aur gaib se rozi ke asbab paida ho jaib ge. Allah Tallah is shaks ke lit wahan se tozi ke asbad paida karin ge jahan se us ka guman be na ho.